Do Bhai Ki Story
Hello doston aj mai practical life me hue ek chhote se experience ko apke sath share Karna chahta hu aur is incident ne Mujhe bahut inspire kiya aur isi story se mai apko bhi apke goal ko pane ke liye encourage Karne ki koshish karunga.Aap is kahani ko keval kahani ki tarah na le balki ise life se associate Karen aur ye sat pratishat Sahi bhi hai....
Hua ye ki Mai aur mera bhai dono Kabhi kabhi khet ki taraf ghoomne ko jate the aur wahin per khelta masti karta aur chala Aata.Apko bata du ki mai bachpan se khane ka shoukeen tha jis se meri to body fit this per mera bhai jyada khata tha phir bhi wo ekdum patla tha aur kuch bhi jyada kam kare to Jaldi thak Jaye.Isiliye use koi kuch jyada karne ko nahi kehta tha.
He was weak by body but he was strong mentally.....
Ek bar khelne ke liye hum aur wo forest ki taraf gaye aur khelne me achanak Mai dekh na saka aur kuen me hi James Gira wahan idha udhaer dekha Mai to chilla raha tha bachao bachao....Tabhi mera bhai idhaer udher dekha jab koi na dikha to wo kuen me rassi padi this usi se jor se takat lagaker kheechne laga aur akhirkar mere Bhai ne mujhe kheech liya jab yeh bat Maine gher per bataya to koi manne ki tayar na tha per dada ji samajh gaye aur jab logon ne dada ji se poocha ki ye kaise ho Sakta hai to unhone jawab Diya...
Ki wah bachha apne se wazan apne Bhai ko kheechne me keval isliye success hua kyunki wahan koi us bachhe ki ye batane wala na tha ki tum Kar Nahi Paoge kyunki agar log wahan per hote to wah bachha Kabhi bhi Nahi ker pata.
Isiliye dusro ki baten Dil per na le kyunki Jo kam log khud Nahi ker pate use kahte hai ki tum nahi ker sakte.
Doston is Zindagi me kuch bhi mushkil Nahi hai agar aap chahen to kuch bhi Kar sakte hain.Aap zeet te kab hain jab aap chahte hai.Sabhi cheez hoti hai jaisa aap sochte hain.
No comments:
Post a Comment